Search This Blog

Thursday, March 1, 2012

~~~~ Pagli ~~~~

Muddato'n baad maine kal tumhe apni gali se guzarte dekha...
wahi aadayein.. wahi aawaz..wahi aa'nkhon ka deewanapan...
tumhe dekhkar ek baar phir mera wajood bikhar jata hai...
jise bamushkil maine guzare dino mein saheja tha....!!!
Aisa lagta hai jaise mai barso ka safar lamho mein tai karke lauti hu'n...
aur bhool gai hu'n mai ki mai'Aprajey'hu'n...
tumhe dekhkar na jane kitni yaadein mere jehan mein ubhar aai hain...
sochti hu'n ki kaash tum abhi aa jaate to kya hota...???
mere haatho'n mein wahi kitab hai jo kabhi tumne mujhe diya tha...
mai isse kholna chahti hu'n..padhna chahti hu'n...
magar akele nhi..tumhare saath..tumhare shabdo mein...
tumhi kaho ye pagalpan nhi to aur kya hai...
ki mai khyaalo'n mein hi tumhe lekar kaha'n se kaha'n guzar gai hu'n aaj...
mai sochti hu'n ki wo sabkuchh jo humdono ka tha wo kaha'n kho gaya...???
zindagi you'n bemaksad aur viran kaise ho gai...???
ki achanak meri soche ruk jati hain...
dekhti hu'n samne tum khade ho... nigaaho'n ko khud per yakeen nhi hota...
tumhari aa'nkhon mein pyaar ka ek toofan hai..magar saath mein dard ke jaljale bhi shamil hain...
mere haatho se fisal kar wo kitaab tumhare kadmo mein bikhar jati hai...
aur saamne dikhai deta hai wah panna jisper likha tha tumne...'Sasneh Tumko'...
mai jhukti hu'n usse uthane ke liye..ki thaam lete ho tum beech mein hi mujhe...
aur chum lete ho meri palko'n ko... bolo na...ye tumhare hotho'n ki tapish hai ya pyaar ka ooj...
ki barsho se jame hue mere aa'nsoo aaj barf ki tarah pighalne lage hain...
mujhe rota hua dekh barbas hi muskura uthate ho tum...
aur phir bhar ke mujhe apni baaho'n mein ye kahte ho...
"PAGLI TUM BILKUL WAISI HI HO"...... Haa'n..... ..mai waisa hi rahna chahti hu'n.....'Tumha ri Pagli'.... ...!!!!!

No comments:

Post a Comment